Archive for the ‘Uncategorized’ Category

apane hamaraah jo aate ho idhar se pahale

20 March 2006

apane hamaraah jo aate ho idhar se pahale
dasht pa.Dataa hai miyaa.N ishq me.n ghar se pahale

chal diye uTh ke suu-e-shahar-e-vafaa kuu-e-habiib
puuchh lenaa thaa kisii Khaak basar se pahale

[Khaak basar=those living on streets, homeless, vagrant]

ishq pahale bhii kiyaa hijr kaa Gam bhii dekhaa
itane ta.Dape hai.n na ghabaraaye na tarase pahale

jii bahalataa hii nahii.n ab ko_ii sa’at ko_ii pal
raat Dhalatii hii nahii.n chaar pahar se pahale

[ko_ii sa'at ko_ii pal=anytime]

ham kisii dar pe na ThiThake na kahii.n dastak dii
saika.Do.n dar the merii jaa.N tere dar se pahale

[ThiThakanaa=to pause]

chaa.Nd se aa.Nkh milii jii kaa ujaalaa jaagaa
ham ko sau baar hu_ii subah sahar se pahale

Ghoom Raha Hai Peet Ka Payasa

20 March 2006

daikh tu goori kissay pukaaray
basti basti dawaray dawaray
bar mein jhooli hath mein kasa
ghoom raha hai peet ka payasa

dil mein aag dabi hai, darna
ankhoon mein ashkoon ka jharna
lab par dard ka bara masa
ghoom raha hai peet ka payasa

kantoon say chalni hain paon
dhoop mali chehray par chaoon
aas mali ankhoon mein naras
ghoom raha hai peet ka payasa

baat humari maan kay goori
sab duniya say choori choori
ghoongat ka pat khool zara sa
ghom raha hai peet ka payasa

sourat hai insha jee ke see
baal parayshan, ankhain neechi
naam bhi kuch insha jee sa
ghoom raha hai peet ka payasa

souch nahi sajan ko bula lay
aagay barh, seenay say laga lay
tujh bin day issay koun dalasa
ghom raha hai peet ka payasa

Sab Maaya Hai

19 March 2006

sab maya hai , sab dhaltee phirtee chaya hai
iss ishq mein hum nay jo khooya jo paya hai
jo tum nay kaha hai, faiz nay jo farmaya hai
sab maya hai

haan gahay gaahay deed ke doulat haath aye
ya aik woh lazat naam hai jiss ka ruswayee
buss uss kay siwa tu jo bhi sawab kamaya hai
sab maaya hai

ik naam tu baqi rehta hai, gar jaan nahi
jab daikh liya iss sooday mein nuqsaan nahi
tab shama pay dainay jaan patanga aaya hai
sab maaya hai

maloom hmain sab qais miyaan ka qissa bhi
sab aik say hain, yeah ranjha bhi, yeh insha bhi
farhad bhi jo ik nahar se khood kay laya hai
sab maya hai

kiyon dard kay naamay likhtay likhtay raat karoo
jis saat samandar par ke naar ke baat karoo
uss naar say koi aik nay dhoka khaya hai ?
sab maaya hai

jis goori pay hum aik ghazal har shaam likhain
tum jantay hoo – hum kiyonkar uss ka naam likhain
dil uss ke chookhat chom kay wapis aaya hai
sab maaya hai

woh larki bhi jo chaand nagar ke raani thee
woh jiss ke alhaar ankhoon mein hayraani thee
aa uss nay bhi pay’ghaam yeehi bhijwaya hai
saab maya hai

jo loug abhi tuk naam wafa ka laytay hain
woh jaan kay dhokhay khatay, dhokay daitay hain
haan thook baja kay hum nay hukam lagaya hai
sab maaya hai

jab daikh liya har shakhas yahaan harjayee hai
iss shehar say door – aik kutiya hum nay banaye hai
aur uss kutiyaa kay maathay pay likhwaya hai
sab maaya hai

Lub Per Naam Kisi Ka Ho………

19 March 2006

lub per naam kisi ka ho, dill main tera naqsha hay
Aay tasweer bananey wali, jab sey tujh ko dekha hay

be terey kya wehshat hum ko, tujh bin kaisa sab’r-o sakoo.n?
tu hi apna sheher hay jaani, tu hi apna sehra hay

neeley perbat, oodhi dharti, charoo.b koot main tu hi tu
tujh sey apney jee ki khalwat, tujh sey mun ka maila hay

aaj tu hum bikne ko aay, aaj humarey daam laga
Yousuf tu bazaar-e wafa main, aik tikey ko bikta hay

lay jaani ab apne mun k pairahan ki girhai.n khol
lay jaani ab aadhi shab hay, charoo.n taraf sanata hay

tofaa.n ki baat nahi hay, tofaa.n aatey jaatey rehtey hain
tu ik narm hawa ka jhonka, dill k baagh main tehra hay

ya tu aaj humai.n apna lay, ya tu aaj humara ban
dekh k waqt guzarta jaay, koun abad tak jeeta hay

firda mehez fasoo.n ka parda, hum tu aaj k bandey hain
hij’r-o vasl,wafa aur dhoka sab kuch aa j pe rakhta hay

Woh Aik Kali, Chanbaili Kee

19 March 2006

woh aik kali, chambaili kee
jo tum nay kaha tha bhaij gee
aye kaash tum aa kar daikh sakoo
woh hum ko kitni payaari hai

hum uss ko paa kar jhoomtay hain
hum us ko kaya kaya choomtay hain
haan uss mein tumharee rungat hai
haan uss mein tumharee sourat hai
tum uss ke khushbo mein gum hoo
yeah kali nahi hai, tum hoo

yeah khushbo aab nahi jaa sakti
yeah kali nahi murjhaa sakti
yeah dil keh bayaaz humari hai
hum iss kay safhoon mein iss ko
rukhain gai aur chupa ayain gai
yeah khushboo dil mein basa layain gai

aab bhaijoo mairi jaan kali
chambaili kee
jo tum nay kaha tha bhaijoo gee
in apnay kaliyoon say komal
hoontoon say laga kar bhaijoo gee

Apney Humrah Jo Aaatey ho

19 March 2006

apney humrah jo aatey ho…idher sey pehley
dasht parta hay miyaa.n ishq main, ghar sey pehley

chal deye uth k soe shehr-e wafa, koe habib
poch lena tha kisi khaak basar sey pehley

ishq pehley bhi kiya, hij’r ka ghum bhi dekha
itne tarpe hain na ghabray, na tarsey pehley

jee behelta hi nahi abb koi sa’at, koi pal
raat dhalti hi nahi chaar peh’r sey pehley

hum kisi dar pe na thitkey, na kahee.n dastak di
sainkroo.n dar they meri jaa.n terey dar sey pehley

chaand sey aankh mili, jee ka ujala jaaga
hum ko so baar hoi subha sahar sey pehley

Dill Peet Ki Aag Main Jalta Hay

19 March 2006

Dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay ise jalne do
is aag sey logo door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
hum raat dina yoon hi ghulte rahain, koi pochey k hum ko na pochey
koi sajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chiaro
sab jaan k sapne dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain
ye dewaane sada hi sahi, per itne bhi sada hain yaroo?
kis meethi tapish k malik hain thitharti hoi aag k angiyaarey
tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kya samjho, tum kya jano

dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey tum tu door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
har mehfil main hum donoo.n ki kya kya nmahi batain hoti hain
in baatoo.n ka mafhoom hay kya, tum kya samjho, tum kya jano
dill chal k laboo.n tak aa na saka, lub khul na sake ghum ja na saka
apna tu bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan
jab marte they marne na diya, abb jeetey hain abb jeene do

dill peet ki aag main jalta hay, haan jalta hay isey jalne do
is aag sey Insha door raho, dhandhi na karo pankha na jhalo
logoo.n ki tu baatain sachchi hain….aur dill ka bhi kehna karna howa
per baat humaari mano tu…ya un k bano ya apney raho
raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi
aisa bhi bhala hota hay kaheen, tum bhi tu ajab deewane ho
is khail main har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan
ya khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jane do

DILL PEET KI AAG MAIN JALTA HAY


Follow

Get every new post delivered to your Inbox.